Skip to content
The Believer's Library

Urdu Geo Version (Roman Script)

Numbers 13 urdgvr

Side by side with the Father's Heart Bible™

Mulk-e-Kanān meṅ Isrāīlī Jāsūs

1Phir Rab ne Mūsā se kahā, 2“Kuchh ādmī Mulk-e-Kanān kā jāyzā lene ke lie bhej de, kyoṅki maiṅ use Isrāīliyoṅ ko dene ko hūṅ. Har qabīle meṅ se ek rāhnumā ko chun kar bhej de.”

3Mūsā ne Rab ke kahne par unheṅ Dasht-e-Fārān se bhejā. Sab Isrāīlī rāhnumā the. 4Un ke nām yih haiṅ: Rūbin ke qabīle se Sammua bin Zakkūr,

5Shamāūn ke qabīle se Sāfat bin Horī,

6Yahūdāh ke qabīle se Kālib bin Yafunnā,

7Ishkār ke qabīle se Ijāl bin Yūsuf,

8Ifrāīm ke qabīle se Hosea bin Nūn,

9Binyamīn ke qabīle se Faltī bin Rafū,

10Zabūlūn ke qabīle se Jaddiyel bin Sodī,

11Yūsuf ke beṭe Manassī ke qabīle se Jiddī bin Sūsī,

12Dān ke qabīle se Ammiyel bin Jamallī,

13Āshar ke qabīle se Satūr bin Mīkāel,

14Naftālī ke qabīle se Naḳhbī bin Wufsī,

15Jad ke qabīle se Jiyuel bin Mākī.

16Mūsā ne inhīṅ bārah ādmiyoṅ ko mulk kā jāyzā lene ke lie bhejā. Us ne Hosea kā nām Yashua yānī ‘Rab Najāt Hai’ meṅ badal diyā.

17Unheṅ ruḳhsat karne se pahle us ne kahā, “Dasht-e-Najab se guzar kar pahāṛī ilāqe tak pahuṅcho. 18Mālūm karo ki yih kis tarah kā mulk hai aur us ke bāshinde kaise haiṅ. Kyā wuh tāqatwar haiṅ yā kamzor, tādād meṅ kam haiṅ yā zyādā? 19Jis mulk meṅ wuh baste haiṅ kyā wuh achchhā hai ki nahīṅ? Wuh kis qism ke shahroṅ meṅ rahte haiṅ? Kyā un kī chārdīwāriyāṅ haiṅ ki nahīṅ? 20Mulk kī zamīn zarḳhez hai yā banjar? Us meṅ daraḳht haiṅ ki nahīṅ? Aur jurrat karke mulk kā kuchh phal chun kar le āo.” Us waqt pahle angūr pak gae the.

21Chunāṅche in ādmiyoṅ ne safr karke Dasht-e-Sīn se Rahob tak mulk kā jāyzā liyā. Rahob Labo-hamāt ke qarīb hai. 22Wuh Dasht-e-Najab se guzar kar Habrūn pahuṅche jahāṅ Anāq ke beṭe Aḳhīmān, Sīsī aur Talmī rahte the. (Habrūn ko Misr ke shahr Zuan se sāt sāl pahle tāmīr kiyā gayā thā.) 23Jab wuh Wādī-e-Iskāl tak pahuṅche to unhoṅ ne ek ḍālī kāṭ lī jis par angūr kā guchchhā lagā huā thā. Do ādmiyoṅ ne yih angūr, kuchh anār aur kuchh anjīr lāṭhī par laṭkāe aur use uṭhā kar chal paṛe. 24Us jagah kā nām us guchchhe ke sabab se jo Isrāīliyoṅ ne wahāṅ se kāṭ liyā Iskāl yānī Guchchhā rakhā gayā.

25Chālīs din tak mulk kā khoj lagāte lagāte wuh lauṭ āe. 26Wuh Mūsā, Hārūn aur Isrāīl kī pūrī jamāt ke pās āe jo Dasht-e-Fārān meṅ Qādis kī jagah par intazār kar rahe the. Wahāṅ unhoṅ ne sab kuchh batāyā jo unhoṅ ne mālūm kiyā thā aur unheṅ wuh phal dikhāe jo le kar āe the. 27Unhoṅ ne Mūsā ko riporṭ dī, “Ham us mulk meṅ gae jahāṅ āp ne hameṅ bhejā thā. Wāqaī us mulk meṅ dūdh aur shahd kī kasrat hai. Yahāṅ hamāre pās us ke kuchh phal bhī haiṅ. 28Lekin us ke bāshinde tāqatwar haiṅ. Un ke shahroṅ kī fasīleṅ haiṅ, aur wuh nihāyat baṛe haiṅ. Ham ne wahāṅ Anāq kī aulād bhī dekhī. 29Amālīqī Dasht-e-Najab meṅ rahte haiṅ jabki Hittī, Yabūsī aur Amorī pahāṛī ilāqe meṅ ābād haiṅ. Kanānī sāhilī ilāqe aur Dariyā-e-Yardan ke kināre kināre baste haiṅ.”

30Kālib ne Mūsā ke sāmne jamāshudā logoṅ ko ishārā kiyā ki wuh ḳhāmosh ho jāeṅ. Phir us ne kahā, “Āeṅ, ham mulk meṅ dāḳhil ho jāeṅ aur us par qabzā kar leṅ, kyoṅki ham yaqīnan yih karne ke qābil haiṅ.” 31Lekin dūsre ādmiyoṅ ne jo us ke sāth mulk ko deḳhne gae the kahā, “Ham un logoṅ par hamlā nahīṅ kar sakte, kyoṅki wuh ham se tāqatwar haiṅ.” 32Unhoṅ ne Isrāīliyoṅ ke darmiyān us mulk ke bāre meṅ ġhalat afwāheṅ phailāīṅ jis kī taftīsh unhoṅ ne kī thī. Unhoṅ ne kahā, “Jis mulk meṅ se ham guzare tāki us kā jāyzā leṅ wuh apne bāshindoṅ ko haṛap kar letā hai. Jo bhī us meṅ rahtā hai nihāyat darāzqad hai. 33Ham ne wahāṅ dewqāmat afrād bhī dekhe. (Anāq ke beṭe dewqāmat ke afrād kī aulād the.) Un ke sāmne ham apne āp ko ṭiḍḍī jaisā mahsūs kar rahe the, aur ham un kī nazar meṅ aise the bhī.”

Copyright © 2019 Urdu Geo Version. CC-BY-NC-ND
Urdu Geo Version (Roman Script) · Creative Commons - Attribution-NonCommercial-NoDerivs [CC BY-NC-ND]