Skip to content
The Believer's Library

Urdu Geo Version (Roman Script)

2 Chronicles 3 urdgvr

Side by side with the Father's Heart Bible™

Rab ke Ghar kī Tāmīr

1Sulemān ne Rab ke ghar ko Yarūshalam kī pahāṛī Moriyāh par tāmīr kiyā. Us kā bāp Dāūd yih maqām muqarrar kar chukā thā. Yihīṅ jahāṅ pahle urnān yānī Araunāh Yabūsī apnā anāj gāhtā thā Rab Dāūd par zāhir huā thā. 2Tāmīr kā yih kām Sulemān kī hukūmat ke chauthe sāl ke dūsre māh aur us ke dūsre din shurū huā.

3Makān kī lambāī 90 fuṭ aur chauṛāī 30 fuṭ thī. 4Sāmne ek barāmdā banāyā gayā jo imārat jitnā chauṛā yānī 30 fuṭ aur 30 fuṭ ūṅchā thā. Us kī andarūnī dīwāroṅ par us ne ḳhālis sonā chaṛhāyā. 5Baṛe hāl kī dīwāroṅ par us ne ūpar se le kar nīche tak jūnīpar kī lakaṛī ke taḳhte lagāe, phir taḳhtoṅ par ḳhālis sonā manḍhwā kar unheṅ khajūr ke daraḳhtoṅ aur zanjīroṅ kī taswīroṅ se ārāstā kiyā. 6Sulemān ne Rab ke ghar ko jawāhar se bhī sajāyā. Jo sonā istemāl huā wuh parwāym se mangwāyā gayā thā. 7Sonā makān, tamām shahtīroṅ, dahlīzoṅ, dīwāroṅ aur darwāzoṅ par manḍhā gayā. Dīwāroṅ par karūbī farishtoṅ kī taswīreṅ bhī kandā kī gaīṅ.

Muqaddastarīn Kamrā

8Imārat kā sab se andarūnī kamrā banām Muqaddastarīn Kamrā imārat jaisā chauṛā yānī 30 fuṭ thā. Us kī lambāī bhī 30 fuṭ thī. Is kamre kī tamām dīwāroṅ par 20,000 kilogrām se zāyd sonā manḍhā gayā. 9Sone kī kīloṅ kā wazn taqrīban 600 grām thā. Bālāḳhānoṅ kī dīwāroṅ par bhī sonā manḍhā gayā.

10Phir Sulemān ne karūbī farishtoṅ ke do mujassame banwāe jinheṅ Muqaddastarīn Kamre meṅ rakhā gayā. Un par bhī sonā chaṛhāyā gayā. 11Jab donoṅ farishtoṅ ko ek dūsre ke sāth Muqaddastarīn Kamre meṅ khaṛā kiyā gayā to un ke chār paroṅ kī mil kar lambāī 30 fuṭ thī. Har ek ke do par the, aur har par kī lambāī sāṛhe sāt sāt fuṭ thī. Unheṅ Muqaddastarīn Kamre meṅ yoṅ ek dūsre ke sāth khaṛā kiyā gayā ki har farishte kā ek par dūsre ke par se lagtā jabki dāīṅ aur bāīṅ taraf har ek kā dūsrā par dīwār ke sāth lagtā thā. Wuh apne pāṅwoṅ par khaṛe baṛe hāl kī taraf deḳhte the. 14Muqaddastarīn Kamre ke darwāze par Sulemān ne bārīk katān se bunā huā pardā lagwāyā. Wuh nīle, arġhawānī aur qirmizī rang ke dhāge se sajā huā thā, aur us par karūbī farishtoṅ kī taswīreṅ thīṅ.

Rab ke Ghar ke Darwāze par Do Satūn

15Sulemān ne do satūn ḍhalwā kar Rab ke ghar ke darwāze ke sāmne khaṛe kie. Har ek 27 fuṭ lambā thā, aur har ek par ek bālāī hissā rakhā gayā jis kī ūṅchāī sāṛhe 7 fuṭ thī. 16In bālāī hissoṅ ko zanjīroṅ se sajāyā gayā jin se sau anār laṭke hue the. 17Donoṅ satūnoṅ ko Sulemān ne Rab ke ghar ke darwāze ke dāīṅ aur bāīṅ taraf khaṛā kiyā. Dahne hāth ke satūn kā nām us ne ‘Yakīn’ aur bāeṅ hāth ke satūn kā nām ‘Boaz’ rakhā.

Copyright © 2019 Urdu Geo Version. CC-BY-NC-ND
Urdu Geo Version (Roman Script) · Creative Commons - Attribution-NonCommercial-NoDerivs [CC BY-NC-ND]