Binyamīn kī Aulād
1Binyamīn ke pāṅch beṭe baṛe se le kar chhoṭe tak Bālā, Ashbel, Aḳhraḳh, 2Nūhā aur Rafā the.
3Bālā ke beṭe Addār, Jīrā, Abīhūd, 4Abīsua, Nāmān, Aḳhūh, 5Jīrā, Safūfān aur Hūrām the.
6Ahūd ke tīn beṭe Nāmān, Aḳhiyāh aur Jīrā the. Yih un ḳhāndānoṅ ke sarparast the jo pahle Jibā meṅ rahte the lekin jinheṅ bād meṅ jilāwatan karke Mānahat meṅ basāyā gayā. Uzzā aur Aḳhīhūd kā bāp Jīrā unheṅ wahāṅ le kar gayā thā.
8Sahraim apnī do bīwiyoṅ Hushīm aur Bārā ko talāq de kar Moāb chalā gayā. Wahāṅ us kī bīwī Hūdas ke sāt beṭe Yūbāb, Zibiyā, Mesā, Malkām, 10Yaūz, Sakiyāh aur Mirmā paidā hue. Sab bād meṅ apne ḳhāndānoṅ ke sarparast ban gae. 11Pahlī bīwī Hushīm ke do beṭe Abītūb aur Ilfāl paidā hue.
12Ilfāl ke āṭh beṭe Ibar, Mish'ām, Samad, Bariyā, Samā, Aḳhiyo, Shāshaq aur Yarīmot the. Samad Onū, Lūd aur gird-o-nawāh kī ābādiyoṅ kā bānī thā. Bariyā aur Samā Aiyālon ke bāshindoṅ ke sarbarāh the. Unhīṅ ne Jāt ke bāshindoṅ ko nikāl diyā.
15Bariyā ke beṭe Zabadiyāh, Arād, Idar, Mīkāel, Isfāh aur Yūḳhā the.
17Ilfāl ke mazīd beṭe Zabadiyāh, Masullām, hizqī, Hibar, 18Yismarī, Yizliyāh aur Yūbāb the.
19Simaī ke beṭe Yaqīm, Zikrī, Zabdī, Iliyainī, Zillatī, Iliyel, Adāyāh, Birāyāh aur Simrāt the.
22Shāshaq ke beṭe Isfān, Ibar, Iliyel, Abdon, Zikrī, Hanān, Hananiyāh, Ailām, Anatotiyāh, Yafdiyāh aur Fanuel the.
26Yarohām ke beṭe Samsarī, Shahāriyāh, Ataliyāh, Yārasiyāh, Iliyās aur Zikrī the. 28Yih tamām ḳhāndānī sarparast nasabnāme meṅ darj the aur Yarūshalam meṅ rahte the.
Jibaūn meṅ Sāūl kā Ḳhāndān
29Jibaūn kā bāp Ya'iyel Jibaūn meṅ rahtā thā. Us kī bīwī kā nām Mākā thā. 30Baṛe se le kar chhoṭe tak un ke beṭe Abdon, Sūr, Qīs, Bāl, Nadab, 31Jadūr, Aḳhiyo, Zakar 32aur Miqlot the. Miqlot kā beṭā Simāh thā. Wuh bhī apne rishtedāroṅ ke sāth Yarūshalam meṅ rahte the.
33Nair Qīs kā bāp thā aur Qīs Sāūl kā. Sāūl ke chār beṭe Yūnatan, Malkīshua, Abīnadāb aur Ishbāl the.
34Yūnatan Marībbāl kā bāp thā aur Marībbāl Mīkāh kā.
35Mīkāh ke chār beṭe Fītūn, Malik, Tārīa aur Āḳhaz the.
36Āḳhaz kā beṭā Yahuaddā thā jis ke tīn beṭe Alamat, Azmāwat aur Zimrī the. Zimrī ke hāṅ Mauzā paidā huā, 37Mauzā ke Bin'ā, Bin'ā ke Rāfā, Rāfā ke Iliyāsā aur Iliyāsā ke Asīl.
38Asīl ke chhih beṭe Azrīqām, Bokirū, Ismāīl, Sa'ariyāh, Abadiyāh aur Hanān the. 39Asīl ke bhāī īshaq ke tīn beṭe baṛe se le kar chhoṭe tak Aulām, Yaūs aur Ilīfalat the.
40Aulām ke beṭe tajrabākār faujī the jo mahārat se tīr chalā sakte the. Un ke bahut-se beṭe aur pote the, kul 150 afrād. Tamām mazkūrā ādmī un ke ḳhāndānoṅ samet Binyamīn kī aulād the.